Sunday 16 February 2014

QABR ME PEHLA TOHFA

QABR ME PEHLA TOHFA :

Sarkare Madina Sallallaahu Ta'ala Alahi Wasallam Ne Farmaya:

''Momin Jab Qabr Me Dakhil Hota Hai.
To Sabse Pehla Tohfa Yeh Diya Jata Hai Ki Uski Namaz-E-Janaza Padhne Walo Ki Magfirat Kar Di Jati Hai''
(Kanjul Ummaal)
---------------------------------------

JANAZE KA SAATH DENE KI FAZILAT:

''Hazrat-E-DaudAlahi Salam Ne Bargah-E-Khudawandi Me Arz Karte Hai,
Ya Allah Jisne Mahaz Teri Raza K Liye Janaze Ka Saath Diya Uski Kya Jaza Hai?
Allah Ta'ala Ne Farmaya,
Jis Din Woh Marega To Farishte Uske Janaze K Hamrah Chalenge Or Mai Uski Magfirat Karunga''
(Shahurssudur)
-----------------------------------------

:''Jo Janaze Ko 40 Kadam Le Kar Chale Uske 40 Qabira Gunah Mita Diye Jayenge''
(Attabrani)
----------------------------------------

MAYYAT KO NEHLANE WAGERAH KI FAZILAT:

''Hazrat-E-Ali RadiAllaho Ta'ala Anho Se Riwayat Hai Ki Sallallaahu Ta'ala Alahi Wasallam Ne Farmaya:

Jo Kisi Mayyat Ko Nehlaye, Kafan Pehnaye, Khushbu Lagaye, Namaz Padhe, Or Jo Naqis Baat Nazar Aye Use Chupaye Woh Apne Gunah Se Aisa Paak Hojata Hai,
Jaisa Jis Din Maa K Peth Se Paida Hua Tha''
(Sunn-E-Ibne Majah)

No comments:

Post a Comment