Thursday 27 February 2014

Surah Yaseen Ki Tilawat Ke Fazail

Hadees 1»
Hazrat Ans bin Maalik radhiAllahuanhu Se Riwayat Hai Ke
RasoolAllah sallallahualaihi wasallam Ne Farmaya
Jisne Ek Martaba Surah Yaseen Tilawat Ki Use 10 Quraan Tilawat Ka Sawaab Milenga

(Tirmizi fil sunan Kitaab fazail e quraan. Jil 5 page 149-150 raqam number 2887)

Hadees 2»
Hazrat Mouqil bin Yasaar radhiAllahuanhu Se Riwayat Hai ke
RasoolAllah sallallahualaihi wasallam Ne Farmaya
Apne Murdo Ke Paas Surah Yaseen Tilawat Kiya Karo

(Abu Daud fil sunan, kitabul janayez. Jild 3 page 191 raqam number 3121)

Hadees 3»
Hazrat Jandab radhiAllahuanhu Se Riwayat Hai Ke
RasoolAllah sallallahualaihi wasallam Ne Farmaya
Jo Allah Ki Khushnodi Ke Liye Surah Yaseen Tilawat Karta Hai Allah Use Bakhsh Deta Hai

(Daarmi fil sunan Jild 2 page 548 raqam number 3415)

Hadees 4 »
Hazrat Abu Huraira radhiAllahuanhu Se Riwayat Hai ke
Farmaya RasoolAllah sallallahualaihi wasallam Ne
Jo Shakhs Juma Ki Raat (Yaani Aajki Raat) Surah Yaasin Tilawat Karenga Wo Bakhsh Diya Jayenga

Munzari fil targhaib wal tarhaib. Jild 1 page 298 raqm number 1100

No comments:

Post a Comment